Hii friends aaj ke is post me mai aapko Instagram Se Photo aur Video Kaise Download Karte hai iske bare me bataunga.
1) Sabse pehle aapko apne phone mein Easy Downloader app install karna hoga jo play store par bilkul free me available hai.
2) Jab easy downloader app install ho jaye to uske baad apna instagram account open kare
3) Aap jis bhi photo ya video ko download karna chahte ho uske neeche three dots ek sath dikhai denge uspe click kare
4) Jab aap three dots par click karengege to mobile ke screen per kuchh options show honge lekin aapko un options mein se copy share url wale option ko select karna hai
5) Upar wale steps ko complete karne ke baad aapki downloading start ho jayegi
6) Same method se aap kisi bhi instagram ke video ko bhi download kar sakte hai.
Easy Downloader app ek free application hai lekin isko mostly samsung devices support nahi karta isliye aap ise samsung phone mein use nahi kar sakte hai.
Aap sirf public profiles ke images aur videos ko download kar sakte ho lekin private profies ke image aur video ko download karna possible nahi hai
Yeh sirf educational purpose ke liye hai isliye kisi ke photos aur videos ka galat use na kare kyuki aisa karna illegal hota hai
Waise toh bahut se tarike aapko internet par mil jayenge instagram file download karne ke liye lekin mere experience ke hisab se ye tarika sabse aasan tarika hai mujhe iss trick mein ek chij acchi lagi ki iss trick ke liye humein kisi rooted phone ki jarurat nahi padti aur sirf one click mein hum kisi bhi instagram file ko download kar sakte hai. Mujhe ummeed hai aap sabhi ko yeh post jarur pasand aayi hogi so friends iss post ko share karna na bhule
No comments