Hii friends aaj ke is post me mai aapko bataunga ki apne blogger site ko google me kaise add kare taki jab traffic google per koi post search kare to hamari site ka bhi us post se related link aaye. Dosto yadi aap niche bataye gaye step ka follow karenge to mai hope karta hu ki aapka blogger site google me add jarur ho jaye ga.
1. Sabse pahle Google Webmaster Tool login kare
Sabse pahle aapko google me 'google webmaster tool' search karna hai. uske bad isme login kare. Iske liye aapko email id use karna hai. Iske bad aap sidhe google webmaster tool ke home page per ja sakte hai.
2. add property Per Click Kare
Login karne ke bad aapko add property per click karke apne site ka url add karna hai aur uske bad add per click karna hai.
3. Apne Blogger Site ko Verify Karna
Uske bad ab aapko apne blogger site ko verify karana hai. Bina verify ke aap webmaster tool me apne site ko add nahi kar sakte hai. Ab mai aapko html tag se site ko verify karne ka tarika bataunga.
Google Webmaster Tool Me Blogger Site ko Verify Karne ka tarika
Sabse pahle aap is html code ko copy karke apne site ke template me jakar edit html per click karna hai. edit html per click karne ke bad aapko code ke andar click karna hai. Uske bad aapko Ctrl + f press karna hai uske bad ek new search box open hoga jisme aapko <head> search karna hai aur uske bad search console me jo code diya gaya tha use <head> ke niche paste karna hai aur template ko save kar dena hai.
4. Verify Per Click Kare
Template ko save karne ke bad aapko search console me wapas jana hai aur verify per click karke apne site ko verify karna hai.
No comments