blogger per free me website kaise banaye jankari hindi me

Share:

Hii friends aaj ke is post me mai aapko bataunga ki blogger ki website www.blogger.com per free me site kaise banate hai. Sabse pahle aapko blogger.com per visit karna hoga. Ab jo home page open hoga, usme create your blog button par click kare.

Ab login ka page open hoga.uake bad aapko apna email id aur email password enter karke sign in kare. Ab hame welcome to blogger ka page dikhai dega.  uspar google plus profile ko verify karke “continue to blogger” ke button par click kare.



Continue to blogger ke button par click karne ke baad ham blogger ke dashboard me pahunch jayege. Yahan hame “new blog” option dikhai dega. Jis par click karte hi “create a new blog” page open hoga. isme hame kuchh information bharni hogi.

Niche ke image dekh kar follow kare

1 》Apne blog ka title likhe. Example- officialardtune.com
2 》Apne blog ka address likhe. Example- officialardtune
3 》Apne pasand ki koi ek template select kare
4 》Ab “create blog” button par click kare. Button par click karte hi, hamara ek blog free me ban jayega. Ab ham blogging karna start kar sakte hai.





Aur apni knowledge, thoughts, aur experience etc. online public ke sath share karke apni aur doosre logo ki knowledge increase kar sakte hai, visiters ki advise pakar blogging me sudhar kar sakte hai, new aur helpful posts share karke income kar sakte hai. iske alawa bhi blog ke bahut sare benefits pa sakte hai.

No comments