linux kya hai jane hindi me

Share:
Hii friends aaj ke is post me mai aapko bataunga ki linux kya hai. Dosto yah bhi windows ki tarah ek Computer Operating System hai jo pure world me free available hai. Iske bavjud bhi hamlogo me se maximum log Windows ka use karte hai jo ki ek paid operating system hai. Aisa isliye kyoki maximum logo ko windows ki habit ho gayi hai. Aaj kal aap me se bhi bahut se logo ne school me ya kisi simple office me available computer me Microsoft ka Windows operating system hi use karte dekha hoga.




Yahi karan hai ki aaj ke logo ko linux ke bare me jankari nahi hai. Ye baat mai aapko bata dena chahta hu ki aaj kal ke smartphone me use kiya jane wala google linux ka hi roop hai.
Chuki linux ek open source software hai isliye pure world ke developer isme new new changing karte rahte hai jise Distro kaha jata hai. Inme se sabse popular Distro Ubantu, Fedora, Mint, Debian etc hai.



Mujhe personaly windows ki apeksha linux ka Ubantu sabse best lagta hai. Kyoki ham ise install karne ke bad windows ki apeksha fastest rup se kam karta hai aur anya se adhik safe rahta hai. Kyoki isme virus ki problem nahi hoti hai aur sath hi yadi kam capacity ke computer  ya old ho chuke windows computer per agar linux ke kisi operating system ka use kiya jay to uske gadget me nayi jaan aa jati hai.


No comments