Kisi Bhi Android Mobile phone se gif animation image kaise banaye jane hindi me

Share:
 Hii friends aaj ke date me Android mobile ka use lagbhag sabhi log karte hai isliye aaj main aapko mobile se gif animation create kaise kare ye bataunga. Isse aap asani se apne android mobile me hi gif image bana sakte hai to chaliye jante hai ki kaise apne smartphone se gif animation banate ha

Sabse pahle aapko apne phone me 'gif me camera' name ka ek app download karna hai
Ab iss app ko install karne ke baad open kare.



Yaha aapkp camera or import or videos ka option dikhega. mai aapko image se gif animation create karne ke bare me bata raha hu issliye aap camera ka use karke apni photo capture kar sakte hai nahi to aap galley me se koi bhi photo select karne ke liye import par click karde or galley mese koi bhi 2 ya 2 se jayda photo choose karke done par click karde.
Ab aap jaise hi select par click karege aapki 2 image  automatically timtimana start ho jayegi yani 1 ke baad 1 dikhne lagegi. Ab aapko  yaha effect dikhega jis bhi effect ka use karna chahte hai uspar tap karde. pahli  icon par click karne ke baad aapko kuch option dilhege jinka use karke aap apni image ko adjust kar sakte hai.


Ab dusre wale icon par click karne ke baad aap photo ko drag karke pahli photo ki jagah dusri or dusri ki jagah pahli photo la sakte hai jo aapne select ki thi or + par click karke aap or bhi photo ko add kar sakte hai.

Ab speed icon ka use karne ke liye aap uper video ko follow kar sakte hai speed icon se aap apni photo ki speed ko fast and slow kar sakte hai.


Text ka use karke aap issme me text yani kuch likh sakte hai or us text font bhi choose kar sakte hai.


Goggles icon par click karke aap apni issme animated text add kar sakte hai.



Last wali icon border icon hai jisspar tap karke aap apni gif animation image me border add kar sakte hai uper video dekh sakte hai.


Ab aapko uper download icon par click karna hai fir aapke samne Kuch option aa jayege jinme se aap iss ko share kar sakte hai and ise save karne ke liye aap save into album  par click karde.

Iss tarah friends aap asani se apne mobile phone se gif animation image bana sakte hai. jo uper animation jaisi dikhegi.

No comments