Hii friends Actually aap logo me se bahut se friends ne blog to bana liya hoga lekin blog ki sahi se jankari na hone ki wajah se apne blog per new post upload nahi kar pate hai so aaj ke is post me mai aapko apne blog per new post upload karne ka sahi tarika bataunga.
Blog Per Naya Post Upload Karne Ka Sahi Tarika
Step 1. Sabse Pahle aap blogger.com per jakar log in kijiye uske bad create new post per click kijiye.
Step 2. Create new post per click karte hi ek new popup window open hoga jisme aapko sabse pahle aapko apni post ka title dalna hai. Post ka title easy and popular hona chahiye jise padhte hi user samajh jaye ki is post me aapne kya likha hai.
Step 3. Post ke niche blank area me aapko us post ke bare me tipe karna hai jise aap publish karna chahte hai. Ha ye yad rahe ki aap jis post ke bare me likh rahe hai, uske bare me aap kam se kam 1000 - 1500 words me likhe aur sath me 2 - 3 photo bhi add kare.
Step 4. Ye sab karne ke bad aapko left sida me attach Post Setting me jana hai aur yaha per ke labels me click karke post se related label dal sakte hai.
Step 6. Yaha aapko apne post se related short description 150 words me type karna hota hai google ise hi users ko dikhata hai.Step 5. Uske bad published on per click karke post publish ka date dikha sakte hai.uske bad permalink per click karke aap apne post ka URL edit kar sakte hai URL yani post ke address me space ki jagah use kar sakte hai.
Step 7. Puri post likhne ke bad uper post title ke left me dikhaye gaye save per click karke publish per click kare. Is tarah se ab aapka post upload ho jata hai.
mast
ReplyDelete